Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mai.N hai
Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mai.N hai


Karta nahin kyun doosra kuch baat-cheet
Dekhta hun main jisey woh chup teri mehfil mein hai

Aye shaheed-e-mulk-o-millat mai.N tere oopar nisaar
Ab teri himmat ka charcha Ghair ki mehfil mai.N hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mai.N hai


Waqt aanay dey bata dai.Ngay tujhe aye aasman
Hum abhi se kya batai.N kya hamare dil mai.N hai
Khainch kar layee hai sab ko qatl hone ki ummeed
Aashiqon ka aaj jumghat koocha-e-qaatil mai.N hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mai.N hai


Hai liye hathiyaar dushman taak mein baiTha udhar
Aur hum taiyyaar hai.N seena liye apna idhar
Khoon se khelai.Ngay holi gur vatan muskhil mai.N hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mai.N hai


Haath jin mein ho junoon cuTtay nahi talvaar say
Sar jo uTh jaatay hai.N voh jhukte nahi lalkaar say
Aur bhad.rkega jo shola-saa humaare dil mai.N hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mai.N hai


Hum to ghar se niklay hi the baandhkar sar pe kafan
Jaan hatheli par liye lo bhar chale hain ye qadam
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mai.N hai


Yuu.N Khad.raa maqtal mai.N qaatil keh rahaa hai baar baar
Kya tamannaa-e-shahaadat bhi kisi ke dil mai.N hai
Dil mein tuufaanoo.N ki Tolee aur nasoo.N mai.N inqilaab
Hosh dushman ke ud.raa dai.Ngay humai.N rokoo na aaj
duur reh paaye jo humse dum kahaan manzil mai.N hai


voh jism bhi kya jism hai jis mai.N na ho Khoon-e-junoon
toofaanon say kya lad.re jo kashti-e-saahil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai.

Poet: Bismil Azimabadi 

English Translation:

The desire for struggle is in our hearts
We shall now see what strength there is in the boughs of the enemy

Why do you remain silent thus?
Whoever I see, is gathered quiet so...
O martyr of country, of nation, I submit myself to thee
For yet even the enemy speaks of thy courage
The desire for struggle is in our hearts...

When the time comes, we shall show thee, O heaven
For why should we tell thee now, what lurks in our hearts?
We have been dragged to service, by the hope of blood, of vengeance
Yea, by our love for nation divine, we go to the streets of the enemy
The desire for struggle is in our hearts...

Armed does the enemy sit, ready to open fire
Ready too are we, our bosoms thrust out to him
With blood we shall play Holi, if our nation need us
The desire for struggle is in our hearts...

No sword can sever hands that have the heat of battle within,
No threat can bow heads that have risen so...
Yea, for in our insides has risen a flame,
and the desire for struggle is in our hearts...

Set we out from our homes, our heads shrouded with cloth,
Taking our lives in our hands, do we march so...
In our assembly of death, life is now but a guest
The desire for struggle is in our hearts...
Stands the enemy in the gallows thus, asking,
Does anyone wish to bear testimony?...
With a host of storms in our heart, and with revolution in our breath,
We shall knock the enemy cold, and no one shall stop us...

What is that body that does not have hot blood in it,
How can a person conquer a Typhoon while sitting in a boat near the shore.
The desire for struggle is in our hearts,
We shall now see what strength there is in the boughs of the enemy.